August 15, 2012

Bebas Jawaani :1

Aaj Reema bahut khush thi & hoti bhi kyu na-uski shadi ki pehli salgirah jo thi.pichhle ek-dedh mahine se uska pati Ravi kuchh ukhda-2 sa & pareshan rah raha tha,par aaj savere office jane se pehle usne pehle ki tarah use bahon me bhar kar jam kar chuma & pyar kiya tha & jate-2 keh gaya tha ki office se aadhe din ki chhuti lekar aa jayega.reema bhi use rijhane & khush karne me koi kasar nahi chhodna chahti thi.

bathroom me ghus usne sare kapde utare & shower on kar uske neeche khadi ho gayi & ravi se hui vo pehli mulakat yaad karne lagi.Pune ke jis hospital me vo nurse thi,ravi usme apni tooti taang ka ilaj karane ke liye admit hua tha.us din naya duty roster milne pe uske ward me aaj reema ka pehla din tha.ravi vaha kuchh dino pehle hi admit hua tha.jab vo use dawa dekar & uska chart check kar jane lagi to vo bola,"nurse."

"ji?"

"main aapke hospital management ki chaal samajh gaya hu?"

"ji?",reema ne hairat bhari sawaliya nazro se use dekha.ward ke baki patients,nurses & staff bhi dono ki baat sunane lage the.

"ji haan.aapka management bahut chalak hai.usne jaan-bujh kar itni achhi nurses yaha rakhi hain ki patient ko aram talabi ki lat lag jaye & vo thik hi na hona chahe,ya fir thik ho bhi jaye to yahi pada rahe & aram ki zindagi jeeta rahe & hospital jum ke paise kama sake."

uski baat sunte hi ward me sabhi ki hansi chhut gayi.reema bhi muskura di & ward se nikal gayi.ravi ki is baat pe kisi dusri nurse ne kuchh jawab diya & ward me hansi-mazak ka silsila chal pada.jaha sab dil khol kar hans rahe the vahi reema bas muskurate hue vaha se nikal aayi thi.

reema ko shayad hi kabhi kisi ne khul kar hanste ya jam kar gappe ladate dekha ho.lagta tha jaise vo khud ko rok leti thi apni bhavnayo ka khul kar izhar kar lene se.shayad iska karan ye tha ki vo 1 anathashram me pali-badhi thi.1 aam bachha jaise-2 bada hota hai to apne mata-pita se chizo ke liye zid karta hai,kabhi unse ruth jata hai to kabhi unki god me chadh unse dular karwata hai.par 1 anath in sab chizo se mehrum rehta hai & shayad isi karan vo apni chaah,apne ehsas apne dil me dabana sikh jata hai.

reema anath thi.usne jab se hosh sambhala khud ko anathashram me paya.anathashram ki karta-dharta thi mausi.mausi yani mrs.bhatnagar,pata nahi kab kisi bachhe ne unhe mausi kah diya tha.uske baad to unka naam hi mausi pad gaya.mausi ka apna bhara-pura parivar tha par fir bhi voanathashram ko pura waqt deti thi &reema ko to bahut manti thi.reema jald se jald apne pairo pe khadi hona chahti thi so school khatm karte hi usne nursing me graduation kiya & is hospital ko join kar liya.par aaj bhi vo apne anathashram & mausi ko nahi bhuli thi & jab bhi mauka milta vaha unse milne zarur jati.

ravi ke ward me duty lagi to roz us se mulakat hone lagi.use ravi 1 bada zindadil & khushmijaz shakhs laga.har waqt halki-fulki baaten ya fir koi mazak karta rehta par koi bhi baat tamiz ke dayre ke baahar nahi jaati.isi karan sabhi use pasand karte the.us se milne aane wale uske dost bhi usi ke jaise the.

reema ko 1 baat thoda khatki.hospital me marizo ke paas unka koi rishtedar zarur rehta tha par ravi ke paas koi nahi bas beech me 3-4 dino ke liye uska bada bhai Shekhar aaya tha par maa-baap kabhi nahi aaye.koi aur nurse hoti to ab tak ravi ke dur ke rishtedaro ka bhi pata poochh chuki hoti par reema apne kaam se kaam rakhti thi & usne us se kabhi kuchh nahi poochha.

haa,har din use uske ward jane me achha lagta tha.vo ladka baaten hi aisi karta tha.fir reema ki 2 dino ki chhutti ho gayi.jab vapas aayi to pata chala ki ravi discharge ho chuka hai.us din use ward khali-2 sa laga.isi tarah 4-5 din beet gaye.hospital me mariz aate hain chale jate hain par pata nahi kyu ravi ka jana use achha nahi laga.

us din sham duty khatm kar jaise hi vo nikli ki kisi ne use avaz di,"nurse!"

usne mud kar dekha to ravi khada tha.itne dino tak usne use bed pe lete dekha tha,aaj pehli bar khade dekh rahio thi.ravi 6 ft ka lamba,handsome naujawan tha,umra yehi koi 23-24 saal hogi.reema bhi 22 saal ki jawan ladki thi & ravi ki maradana khubsurati ki dil hi dil me tareef kiye bina na reh saki.

"hi!nurse.kaisi hain?"

"hello.main thik hu.aapka pair ab kaisa hai?"

"bilkul thik.dr.sahab ne bulaya tha isiliye aya tha.achha hua ap bhi mil gayi.1 bahut zaruri kam tha."

"achha.kaisa kaam?"

"aapko thankyou kehna tha & coffee pilani thi."

"kya?!",reema hanse bina na reh saki.

"haan.jab discharge ho raha tha to maine sabhi doctors ,nurses & staff jinhone ne mera dhyan rakha tha,unhe thanx kaha tha & coffe pilayi thi.aap aayi nahi thi to aapki coffee baki thi."

reema ko yaad aya,jab vapas aane pe usne ravi ke bare me poochha tha to baki nurses ne batayi thi ye coffee vali baat.

"are,ravi iski koi zarurat nahi.bekar me pareshan mat hoiye."

"isme pareshani kya hai?coffe peeni hai kaun sa everest pe chadhna hai."

reema ko fir hansi aa gayi.,"vo thik hai par fir bhi rehne dijiye."

"dekhiye nurse,main samajh raha hoon aap kyu jhijhak rahi hain.mera yakin kijiye main bas aapko thanx dene ke liye 1 cup coffee pilana chahta hu,bas.vada karta hu na koi ulti-seedhi baat karunga na hi aisi-vaisi harkat!ye jo bagal vala cafe hai na vaha bas 1 cup coffee piyenge jisme 15 ya 20 minute lagenge bas.fir aap apne raste main apne raste."

"are,aap mujhe galat samajh rahe hain?aapke bare me aisa kuchh nahi socha tha maine."

"to fir chaliye."

reema use mana nahi kar payi,"ok.chaliye.",aur dono cafe ki or badh gaye

No comments:

Post a Comment