August 15, 2012

Bebas Jawaani :2

Cafe me baith ke Ravi ne order kar diya.

"aap kya karte hain,ravi?",Reema ne poochha.

"main S.N institute se MBA kar raha hu."

"vah,vo to bada achha institute hai.aapki to life ban gayi!"

"kya life ban gayi,nurse!bas apne pairo pe khada ho jaoonga,apne kharche nikal loonga."

"to aur kya chahiye 1 insan ko?"

"nurse,kaam to vo ho jise insan dil se karna chahe.meri nazar me sachin tendulkar duniya ka sabse lucky insan hai.vo bachpan se cricket khelna chahta tha so khel raha hai.kewal khel hi nahi raha balki shayad ab tak ka sabse mahan cricketer hai.aur sone pe suhaga ye ki is ke liye use karodo rupaye bhi milte hain.insan ko to aisa hi kaam karna chahiye par sabki aisi kismat kaha hoti hai."

"to tum kya banana chahte the?"

"fighter pilot."

"to bane kyu nahi?"

"maa ke chalte.jaise hi use pata chala ki main NDA ka form bharne ja raha hu,usne order jari kar diya ki main sapne me bhi aisa nahi sochu.usne kaha ki uska koi beta us se dur fauj me nahi jayega...maine use kaha ki maa shekhar bhaiya to tumhare pas rahenge hi.mujhe jane de air force me & agar kahi jung me mar gaya to tu shaheed ki maa kehlyegi."

"fir maa ne kya kaha?"

"usne khinch ke 1 thappad lagaya & fir rote hue mujhe apne gale se laga ke pyar karne lagi.ye maayen bhi ajeeb hoti hain nurse,nirala hi hota hai inka bachchon ko pyar karne ka tareeka."

reema bas halke se muskura di.use kya pata tha maa ke pyar ke bare me.waiter coffe rakha gaya to vo cup uthakar peene lagi.,"tab to ravi jab tumhara fracture hua to vo bahut pareshan ho gayi hongi?"

"pata nahi,nurse."

"kya matlab?"

"pichhle 2 saalon se maa bimar hai.uska dimagh dheere-2 kaam karna band kar raha hai.dimagh ka vo hissa jo insan ka chalna,bolna control karta hai vo to pura bekar ho chuka hai.maa kewal apni palke jhapka pati hai & kha pati hai,gardan & uske neeche ka pure sharir ka 1 bhi ang na hila pati hai na unse vo koi kaam le pati hai...bas bed pe khamosh leti rahti hai,kyuki bol bhi nahi pati."

"doctors kya kahte hain?"

"pitaji kaha-2 nahi daude maa ke ilaj ke liye par har doctor ne yehi kaha ki bimari lailaj hai."

"oh."

thodi der dono khamosh rahe fir ravi ne khamoshi todi,"..achha to nurse-ye lo.yaha hum sath me coffee pi rahe hain & mujhe abhi tak aapka naam bhi nahi pata.aapke naam kya hai,nurse?"

"mera naam reema hai.",reema hans padi.

"achha to aapki maa kaisi hai?"

"pata nahi.main anath hu,ravi.",& reema ne use apni puri kahani suna di.usne use mausi ke bare me bhi bataya & ravi ne apne baki parivar ke bare me.uske pita Virendra Saxena 1 bahut oonche sarkari ohde pe the & bade bhai Shekhar ne abhi calcutta me apni pehli naukri join ki thi.uska parivar Panchmahal naam ke shahar me rehta tha.

"achha reema ji,aap kya banana chahti thi?"

"main...main singer banana chahti thi."

"really!fir aapne kabhi koshish ki."

"jis school me hum anathashram ke bachche padhte te the vaha music bhi sikhaya jata tha to school tak to maine seekha lekin uske baad mujhe apne pairo pe khade hone ki jaldi thi & music ke zariye vo sambhav nahi tha."

"hmmm.",ravi ne coffee khatm kar cup neeche rakha,"ye to badi achhi baat pata chali aapke bare me.music ka mujhe bhi shauk hai khas kar indian classical ka.is sunday humare insti auditorium me Pt.Jasraj ka program hai.to aap sunday ko waha aayengi,mere sath program dekhengi & main jo bhi music ke bare me sawal karoonga unka jawab dengi."

"are nahi,ravi.main nahi aa sakti."

"kyu?aap itna jhijhakti kyu hain?main aapko aawara lagta hu?"

"vo baat nahi hai,ravi."

"to kya baat hai?sunday ko aapki chhutti hai,aapko music se itna lagav hai,fir kyu nahi aa sakti? "

"ravi,bura mat mainye,please.par...main ticket -"

"-are,koi ticket nahi,mere insti ka program hai.mere paaas free passes hain.ab to aayengi na?"

"thik hai,aaoongi."

"ye hui na baat!",ravi ne bill pay kiya & dono cafe se bahar aa gaye.

"achha,reema ji bye1sunday ko 5 baje mere insti ke main gate pe main aapka intezar karunga."

"thik hai,ravi.bye!"

reema ko badi hairat hui ki kaise usne 1 lagbhag ajnabi se insan ko apni kahani suna di & uske sath agli mulakat ke liye bhi taiyyar ho gayi.vo us sunday ravi se mili & fir dono aaye din milne lage,kabhi kisi concert to kabhi kisi exhibition me.reema ki saheliya to use ravi ke naam se chidhane lagi thi.uski room mate soni to humesha use chhedti rehti thi.

"aa gayi heroine apne hero se milke?"

"chup kar,soni.vo bas dost hai."

"shuru me sab yehi kehte hain darling,fir kab dost jaan banjata hai pata hi nahi chalta!"usne bed pe baithi reema ko peechhe se pakad kar shararat se kaha.

"achha!tujhe bada pata hai in baato ke bare me.tera 'dost' kaun hai bhai?"

"humari aisi kismat kahan!",usne bade naatkiya andaz me kaha to dono saheliya hans padi.

reema sachmuch ravi ko dost se zyada nahi manti thi na kabhi ravi ne koi aisi harkat ki thi ki use lagta ki ravi kuchh aisa sochta tha,par uski ye soch use khud hi tab galat lagi jab ravi apne bhai ki shadi ke liye 10 dino ke liye Panchmahal chala gaya.reema ke liye vo 10 din bade mushkil the.uska mood ukhra-2 rahne laga,vo ravi ko itna miss karegi usne socha bhi na tha.

us raat bistar pe karwaten badalte usne socha ki kya sachmuch vo ravi ko dost se kuchh zyada samajhne lagi thi.ravi aaj savera vapas aa gaya tha.usne fone kiya to reema ne milne ki baat ki par usne kaam me busy hone ki baat kah kar mana kar diya & parso milne ko kaha.par usi din reema apne hospital ki bus me baki nurso ke sath kisi training program ke liye ja rahi thi jab usne central market ke paas ravi ko kisi ladki ke sath baat karte dekha.vo ladki baar-2 ravi ka hath pakad rahi thi.

ye dekh kar jaise reema ke tan me aag lag gayi.use us ladki pe bahut gussa aa raha tha.karwat badalte hbue apne is reaction ka karan khojne lagi.kya vo ravi se pyar karne lagi thi?nahi to use us ladki se jalan kyu hui?par kya ye sahi tha.ravi itne amir parivar se tha,kya vo kabhi us jaisi anath ko apnayega?use is dhokhe me nahi rehna chahiye.usne apne dil ko bahut samjhaya ki ravi uske liye nahi hai par dil pe aaj tak kis insan ka zor chala hai!

No comments:

Post a Comment